-
DAAGH-E FURQAT-E-TAYBA
-
FURQATE
TAYBA KI WAH’SHAT DIL
SE JAAYE
KHAIR SE
-
MADINA
AANE WALA HAI
-
ZEENATO
SAJDA-O BAZME QAZAA MILTA NAHI
(Manqabat)
(on Huzoor Mufti-e-Azam Hind, Moulana Mustapha Raza Khan Al-Qaderi)
-
YA GHOUS
AL-MADAD
(Manqabat)
(on Sultaanul Awliya, Ghous-e-A’zam, Hazrat Sheik Abdul Qaadir Jilaani)
-
CHALDIYE
TUM AANK ME ASHKO KA DARYAA CHOR KAR
(MANQABAT)
(on Huzoor Mufti-e-Azam Hind, Moulana Mustapha Raza Khan Al-Qaderi)
DAAGH-E FURQAT-E-TAYBA
Daagh-e furqat-e Tayba qalb muzmahil jaata
Kaash Ghumbad-e Khazra dekhne ko mil jaata
Mera dum nikal jaata unke Aastane par
Unke Aastaane ki khaak meh mein mil jaata
Mere dil se dhul jaata daagh-e furqat-e Tayba
Tayba meh fanaa ho kar Tayba meh hi mil jaata
Maut le ke aa jaati zindagi Madine meh
Maut se ga’le mil kar zindagi meh mil jaata
Khuld zaar Tayba ka is tarha safar hota
Peeche peeche sar jaata aage aage dil jaata
Dil pe jub kiran parti unke subz Ghumbad ki
Uski subz rangat se baagh bun ke khil jaata
Furqat-e Madina ne wo diye mujhe sudme
Koh par agar parti koh bhi to hil jaata
Dil pe wo qadam rakhte Naqsh Paa ye dil banta
Yaa to khaak-e-paa bun kar paa se mut’tasil jaata
Un ke Dar pe Akhtar ki hasrate huwi poori
Saa’ile dar’re aqdas kaise munfa’il jaata
FURQATE
TAYBA KI WAH’SHAT DIL SE JAAYE
KHAIR SE
Furqate Tayba ki wah’shat dil se jaaye khair se
Me
Madina ko chaloo wo din phir aaye khair se
Dil
mein hasrat koyee baaqi rah na jaaye khair se
Raahe
Tayba mein mujhe yoon maut aaye kahir se
Mere
din phir jaaye ya Rabb shab wo aaye khair se
Dil
me jab Maahe Madina Ghar banaaye khair se
Raat
meree din bane Unki baqaaye khair se
Qabr
me jab Unki tal’at jagmaghaaye khair se
He
Ghanee ke dar pe hum bistar jamaaye khair se
Khair
ke talib kahaan jaa’enghe jaaye khair se
Wo
Khiraame naaz farmaaye jo paaye khair se
Kya
bayaan woh zindagee’ho dil jo paaye khair se
Mar
ke bi dilse naajaaye ul’faht baage Nabee
Khuld
me bi bhaag janaa yaad aaye khair se
Ranjo
gham hon benishaan aaye bahaar be khizaa
Mere
dil me bhaage janaa ki huwaaye khair se
Istaraf bi do qadam jalwe khiraam naaz ke
Reh’ghuzar me hum bi he aankhe bichae khair se
Ho
mujhe seere ghulistaane Madina yoon naseeb
Me
bahaaronme chaloo khud ko gumaaye khair se
Zindabaad ae arazoo-e-baaghe Tayba zindabaad
Tere
Dhum se he zamaane ke sitaaye khair se
Najdiyo kee cheera dusthee Ya Ilaahee ta’bake
Ye
balaaye najd ye Tayba se jaaye khair se
Jhaanhklo aankho me Unkee hasrate Tayba liye
Zaa’ere Tayba Ziyaa’e Tayba laaye khair se
He ye
Tayba ka payaame taalibe aaishe dawaam
Jan’nate Tayba me aahistee mitaaye khair se
Sanghe dar se aa mile Tayba me abtojaa mile
Aagaye Dar pe Tere, Tere Dar pe bulaaye khair se
Ghosh
bar aawaaz hu Qudsee bi iske gheet par
Baaghe Tayba me jab Akhtar ghunghunaaye khair se
MADINA
AANE WALA HAI
Sambhal
jaye dil-e muztar Madina aane wala hai
Luta-e
chashme tar gohar Madina aane wala hai
Qadam ban
ja-e mera sar Madina aane wala hai
Bichu rah
meh nazar bankar Madina aane wala hai
Jo dekhein
un ka naqsh pa khuda se woh nazar mangoon
Chiraage
dil chalo lekar Madine aane wale hai
Karam unka
chala yoon dilse kehta rahe Tayba meh
Dille
muztar tassalli kar Madina aane wala hai
Nichawar
heh Madina ki ye mera dil meri aankhen
Nichawar
hoon Madina par Madine aane wala hai
Ilaahi
mein talabgaar fana hoon khaak Tayba mein
Ilahi kar
nisaare dar Madina aane wala hai
Madina ko
chala meh be niyaz rahbare manzil
Raahe
Tayba hai khood rahbar Madina aane wala hai
Mujhe
khinche liye jaata hai shouqe koocha-e jaana
Kincha
jaata hoon mein yeksar Madina aane wala hai
Wo chamka
Ghumbade Khazra woh shehrepur zia aaya
Dhale ab
noor mein pekar Madina aane wala hai
Jahan se
bekhabar hokar chalo khulde Madina mein
Chalo ab
hosh ki peekar Madina aane wala hai
Madina
mein khule baabe hayaat noa-batarz nou
Badal
daalo kahan daftar Madina aane wala hai
Madina
aagaya ab der kya hai sirf itni si
Too khaali
kar ye dil ka ghar Madina aane wala hai
Falak
shaahid zamin par rahgaya khaake guzar bankar
Biche heh
raaha mein Akhtar Madina aane wala hai
Qamar aaya
hai shaahid un ke talwon ki zia lene
Bicha hai
chaand ka bistar Madina aane wala hai
Muhammad
ke Ghada kuch farsh wale hi nahein dekhon
Wo ataa
hai sha’e khaawar Madina aane wala hai
Ghubaar
raha anwar kis qadar poor noor hai Akhtar
Tani hai
noor ki chaadar Madina aane wala hai
ZEENATO
SAJDA-O BAZME QAZAA MILTA NAHI
Zeenato sajda-o bazme
qazaa milta nahein
Lale yakta-e-Shahe
Ahmed Raza milta nahein
Wo jo apne dor ka
sadeeq tha milta nahein
Mahrame raaze Muhammad
Mustafa milta nahein
Ab chiraaghe dil
jalaakar ho’sake to doon’diye
Partawe Ghaus-o Raza-o
Mustafa miltaa nahein
Aalime sozdaroon kis se
kahoon kis se kahoon
Chaara saaze darde dil
darde aashinaa milta nahein
Aalimo ka Mu’tabar wo
peshawaa milta nahein
Jo Mujas’sam I’lm tha
wo kya huwa milta nahein
Zaahido ka wo
mus’sallam Muq’tadaa milta nahein
Jispe Naazaa Zaahid tha
wo Paarsaa milta nahein
Faro Afraade Zamaan wa’
Shayhk Ash Shayake jahaan
Kaamilaane dehr kaawo
muntaha milta nahein
Istiqaamat kaawo koha
muh’kamo baala tere
Jiske jaane se zamaana
hilgayaa milta nahein
Chaariyaaro ki adaa-e
jisme te Jalwanuma
Chaariyaro ka wo roshan
Aaina milta nahein
Ekh Shaake ghul nahi
saraa chaman’ andogheen
Mustafa ka andaleebe
khushnawa milta nahein
Mufti-e-Azam ka zar’ra
kya banaa Akthar Raza
Mehfil-e Anjum me
Akhtar doosraa milta nahein
YA GHOUS AL-MADAD
Peer-o ke
Aap Peer heh, Ya Ghous al-Madad
Ahle Safa
ke meer heh, Ya Ghous al-Madad
Ranjo alam
Kaseer heh, Ya Ghous al-Madad
Hum aajozo
aseer heh, Ya Ghous al-Madad
Hum kayse
jee rahe heh, ye tum se kya kahe
Hum heh
alam ke teer, Ya Ghous al-Madad
Tere nazar
se pherdo, sare alam ke teer
Kya ye
alam ke teer heh, Ya Ghous al-Madad
Tere hi
hath laaj hai, Ya Peer-e Dastageer
Hum tere
Dastageer heh, Ya Ghous al-Madad
Kis dil se
ho bayanee, bedade zaalima
Zaleem
bare shareer heh, Ya Ghous al-Madad
Ahle Safa
ne paaie, tumse rahe safa
Sab tumse
mustaneer heh, Ya Ghous al-Madad
Sadqa
Rasool-e Paak ka, jholi mein daaldo
Hum Qadri
Fakeer heh, Ya Ghous al-Madad
Dil ki
sunaa-e Akhtar, dil ki zaban mein
Kehte yeh
behtaneer heh, Ya Ghous al-Madad
CHALDIYE TUM AANK ME ASHKO KA DARYAA CHOR KAR
Chaldiye tum aank me
ashko ka daryaa chor kar
Ranje furqat ka har ek
seene meh sha’la chor kar
Laz’zat mae legayaa wo
jaamo meena chor kar
Mera saaki chaldiya
khud me ko tashna chor kar
Har jigar me dard apna
mitha mitha chor kar
Chaldiye wo dil me apna
naqshe waala chor kar
Jaame mushke liye Arshe
Mu’Allah chor kar
Farsh par aaye Farishte
bazme baalaa chor kar
Aalim baalaa me har sow
marhaba ki ghoonj ti
Chaldiye jab tum
zamaane bar ko soona chor kar
Maut Aalim se bundi he
maute aalam be ghumaa
Roohe aalam chaldiya
aalam ko murdo chor kar
Mut’taqee bun kar
dikhaaye is zamaane me koyee
Ekh mere Mufti-e-A’zam
ka Taqwa chor kar
Khwaab me aakar dikaawo
humko bi eh jaa kabhi
Konsi dunya basaa’ee
tumne dunya chor kar
Ekh tum dunya me
reh’kar tareek’e dunya rahe
Reh’ke dunya me
dikhaaye ko-ee dunya chor kar
Iska eh Sha-e-Zaman
saraa zamaana hogaya
Jo tumhara hogayaa
saraa zamaana chor kar
Rahnumaye raahe Jannat
he Tera naqshe Qadam
Raahe Jannat tena hogee
Tera rasta chor kar
Misle ghiro
saya-e-duste karam he aaj bee
Kon kehta he gaye wo
be’sahaara chor kar
Ho sakhe to dekh
Akhtar Baaghe Jannat me isse
Wo
gayaa taaro se aaghe aashiyaana chor kar